30 January, 2007

Kisi Ke Ho Gaye

Hum tumhare tum kisi ke ho gaye
Din poore ab zindagi ke ho gaye.

Muskuraane ka samay chala gaya
Haadse hi naam khushi ke ho gaye.

Pahlu me ghair ke dekh kar zinda rahen
Hum bhi moorat bebasi ke ho gaye.

Jin nighahon per raaz hamara chalta tha
Wo amaanat aur kisi ke ho gaye.

Unke bina jeena bhi koi jeena hai
Yeh acchhe bahane khudkushi ke ho gaye.

Click on Image to see full size.
Right click and select options to set as wallpaper.

Feel free to share & distribute poem wallpapers.

28 January, 2007

Chandni

Chandni

Mujhe Ilm Nahin
Kis taraha Dhoondhun
Makhmali Yaadon Ko teri
aaine Mein chaand Ke.

Tum chandni Ho
Ya chandni Ki tarah ho Shaamil
Kudrat Ki Har Shai Mein.

Main aksar Dekhta Hoon tumhen
Lambi tanhan Raaton Mein
Sametna chaahta hoon Baaahon Mein
chhitak Jaati Ho Tum Magar.

Phir Sochta hoon
Samet saka hai Kaun
chandni Ko
daaman Mein apne.


Namee Sa Paata Hoon

Namee Sa Paata Hoon

Zindagi Mein Hamesha Kuchh Kamee Sa Paata hoon
Aadmi Ki bhid Mein Nahin Aadmi Sa Paata hoon

Dil Ki Sakht Taaqeed Hai, aansoon Chhalke Nahin
Jalti-Tapti honthon Par Tishnagee Sa Paata hoon

Un Palkon Ki Nameen tilism Koi Kar Gayee
Zaher Boojhe alfaazon Mein Bhi Bebasi Sa Paata hoon

Un Nigahon Ka Nasha Jaane Kab Se Qaayam Hai
Shakhs Koi Paas Ho, Aks Unhin Sa Paata hoon

Khile chehron Ka Haqeeqat Jabse Jaana Hai
Chehre Par Apne Bahut Bechargi Saa Paata Hoon.

Zindagi

Zindagi

Wahi Chinta, wahi Fikra, Aur wahi, Bebas Zindagi
Ho Gayee Hai Jaise Jhoothi Khwab aur Hasrat zindagi

Chehre ParHansi aur dil Mein dard Ka Samandar Hai
Ek Joker Sa Role Mera aur Hai Sarkas Zindagi

Baawafa Hain Fitartan Saath Nibhaate aaye Hain
Aur Deti Aayee Hai Dhokha Aaj Tak Zindagi

Ek Yahi to saath hai Jis Par Saara aas Hai
Mujhe Bahut aziz Hai Mere HumNafas Zindagi

Jeena Hai to Jeena Hai, Chahna Kya Na Chahna Kya
Gham HO Ismein ya Khushi, Zindagi Hai bas Zindagi

Mayoos Intezaar

Mayoos Intezaar

In bojhil sannaton mein, hoti ho jab saamne tum
Sochta hoon bhaag jaun door, vaadi-e-zindagi se
Aisa nahin ke khushi nahin, kareeb tere hone ka
Jaanta hoon ke sapne hain, yeh lamhe bekhudi ke

Phir bhi is tanhaai mein, Jab hota hoon naashaad sa
Parchhaain hi sahi par hoti ho tum paas jab
chaahta hoon ke rah jaaun jaagta umra bhar yun hi
yun hi karoon deedar tera yun hi kate tadap kar shab

Jis roop ko paakar hua tha khud se bekhabar
Usi roop mein tujhko paaya hai aksar raaton mein
Aangan mein kabhi chhat pe, god mein sar ko rakhe
Honth saheje palkon pe, chehra thaamein haathon mein

Bahut door ho shaayad tera aana mumkin nahin
Teri khanakti aawaazen door nahin huyeen ab tak
Chhoo jaati hai ab bhi saanson ke garmee teri
Jism door magar saansein door nahin huyeen ab tak

Roz yun hi raaton mein takta hoon maatha chaand ka
Sochta hoon bhoole se hi shaayad aa jao kabhi
Chali gayee hai sang tere neend bhi meri rooth ke
Kabhie na jaagoon is taraha mujhe sula jaao kabhi.

Page : 07
Book Title : Aur Zindagi Thahar Gayee
Poet : Me
:)
Publisher : Loktantra Prakashan

Original Version