04 February, 2007

Mayoos Intezaar

In bojhil sannaton mein, hoti ho jab saamne tum
Sochta hoon bhaag jaun door, vaadi-e-zindagi se
Aisa nahin ke khushi nahin, kareeb tere hone ka
Jaanta hoon ke sapne hain, yeh lamhe bekhudi ke

Phir bhi is tanhaai mein, Jab hota hoon naashaad sa
Parchhaain hi sahi par hoti ho tum paas jab
chaahta hoon ke rah jaaun jaagta umra bhar yun hi
yun hi karoon deedar tera yun hi kate tadap kar shab

Jis roop ko paakar hua tha khud se bekhabar
Usi roop mein tujhko paaya hai aksar raaton mein
Aangan mein kabhi chhat pe, god mein sar ko rakhe
Honth saheje palkon pe, chehra thaamein haathon mein

Bahut door ho shaayad tera aana mumkin nahin
Teri khanakti aawaazen door nahin huyeen ab tak
Chhoo jaati hai ab bhi saanson ke garmee teri
Jism door magar saansein door nahin huyeen ab tak

Roz yun hi raaton mein takta hoon maatha chaand ka
Sochta hoon bhoole se hi shaayad aa jao kabhi
Chali gayee hai sang tere neend bhi meri rooth ke
Kabhie na jaagoon is taraha mujhe sula jaao kabhi.

Kisi Ke Ho Gaye

Hum tumhare tum kisi ke ho gaye
Din poore ab zindagi ke ho gaye.

Muskuraane ka samay chala gaya
Haadse hi naam khushi ke ho gaye.

Pahlu me ghair ke dekh kar zinda rahen
Hum bhi moorat bebasi ke ho gaye.

Jin nighahon per raaz hamara chalta tha
Wo amaanat aur kisi ke ho gaye.

Unke bina jeena bhi koi jeena hai
Yeh acchhe bahane khudkushi ke ho gaye.

Bahut Gahra Hai

Dard ki daryaon ka samandar bahut gahra hai
Bach Pana Kathin hai bhanwar bahut gahra hai.

Dil ki baat kah di, haan kaho ya na kaho
Kintu parantu lekin agar magar bahut gahra hai.

Upar upar toh liya kahte ho ki dum nahin
Zara jhank kar dekho to saagar bahut gahra hai.

Ek fasana bisra kar umra tamam kar liya
Un zakhmon ka ab bhi asar bahut gahra hai.

Shant hoon khamosh hoon to jo chhaho woh samjho
Jan ne wale jaante hain jigar bahut gahra hai.

Sathi re! thak jayega ab to udna chhod de
Bahut ud chuka aasman upar bahut gahra hai.

Dhoondhne Sahar Nikle

Apne tareeq raton ki dhoondhne sahar nikle
Manzil maana door sahi khoj me magar nikle.

Sagar se jigar waale boond bhar sabit hue
Boond jo khud ko kahte the saagar nikle.

Khwab jitne dekhe the, kaanch jaise nazuk the
Dost jitne bhi mile sabhi pathhar nikle.

Unke kadmo tale phool-phool bichhta raha
Kaante hi kaante mile, hum jidhar-jidhar nikle.

Tamannayen badi tezi se paon phailati rahin
Khwahishon ki paon se chhote chaadar nikle.

Bade jatan se doston ne raah me kaante boye the
Manas ji us gali se aap kyon kar nikle.

Samne Baithi Hai

Hans kar saamne baithi hai
Humsafar hai, ajnabi hai.

Sahilon se darta hoon
Rage-Raksan ek nadi hai

Is safar me dhoop na chhaon
Mausam-e-tabiyat hari hai.

Lamha lamha utregi
Umra ki chadhti nadi hai.

Ashkon se labrez jigar
Ret se bhari mutthi hai.

Bachhe sa dil chanchal hai
Aur andhiyan toot padi hain.

Haar chuka hoon kab ka main
Jung abhi bhi zaari hai.

Hum jahan par milte the
Khuch nahin khuch bhi nahin hai.

Bhari bhari si aankhein hain
Aur samandar khali hai.

Kaanton Pe Chalne Wale

Kaanton par chalne wale karenge kya phool lekar
Aadat hai chalna unka musibatein fizool lekar.

Jar jar rone waale hans ke kya karenge bhala
Jeete hain saanson me aah aur sine me shool lekar.

Shan-o-shauqat ki zindagi ka koi shauk nahin
Khush rahte hai yeh pagle daman me babool lekar.

Aabla kadmo se waasta kyon kar rakhna
Mat karo barbad khud ko rahon ki dhool lekar.

Pagal kahti hai aaj bhale duniya magar
Dekhna chalegi duniya unki hi usool lekar.

Aaram Nahin Ban Saka

Pal bhar ko bhi dard mera aaram nahin ban saka
Tamam koshishen ki magar anjaam nahin ban saka.

Sabko dete rahe dil me apni jagah magar
Kisi dil mein apna mukam nahin ban saka.

Sabhi haadse duniya ke naam mere ho gaye
Phir bhi dehko mera dost jaam nahin ban saka.

Rishwat mein maine unko pesh-e-khidmat jaan kiya
Kismat! ke phir bhi apna kaam nahin baan saka.

Ghar basane par use, soon ni padi gaaliya
Aam admi tha woh ram nahin ban saka.

Chal kahin aur chalein

Yeh nahin apni duniya, chal kahin aur chalein
Nafrat ki hain bastiyan, chal kahin aur chalein.

Pyar karne waalon pe, tarah-tarah ki bandishen
Tarah-tarah ki fabtiyan, chal kahin aur chalein.

Rishton ke saudagar ne, rookh nadi ka hai moda
Tooti padi hai kashtiyan, chal kahin aur chalein.

Chhote bade, khote khare, dharm riwaz, panch-samaaj
Dete hain sabhi dhamkiyan, chal kahin aur chalein.

Kitna aur bhaage hum, thuk chuke hain kadam
Khatam huin pagdandiyan, chal kahin aur chalein.

Kuchh Rishte

Sagar bhi nahin gehra unsa, ooncha aasman nahin
Aise bhi kuchh rishte hain, jinka koi naam nahin.

Tere mere beech ka bandhan, waisa hi ek rishta hai
Kitna gehra, kitna pakka, kuch bhi anumaan nahin.

Jitna chaho ise chhupana, is duniya ki nazron se
Nazren milne pe phir bhi, chhipti hai muskaan nahin.

Milte nahin tum agar, muskil bahut tha yeh safar
Tanha tanha tai kar le zindagi itni asaan nahin.

Jaanam yeh bandhan apna, silsala hai janmon ka
Pyar hamara naya sahi, par nayi pehchaan nahin.

Dhundhli Chandni

Ujla ujla chand magar dhundhli chandni hai
Kaun jane roshni me milaawat nahi hai.

Upar wala sabme apna aks banaata hai
Woh kitna Beimaan hoga jab itna aadmi hai.

Waqt ke teekhi chalon ki kaisi hai yeh bangi
Mandir masjid ki jagah sainik chhawni hai.

Nari tum sradha ho, bahut sundar naara hai
Haqiqat yeh hai ki woh chhalne ko bani hai.

Sochta hoon zameer ke niryat ka dhandha karoon
Achha rozgaar hai is se achhi amdani hai.

Jo suraj ka doot tha, ghar uske andhera hai
Chook gaye hai lafj mere ki kaali roshni hai.

Suraj Dhal raha Hai

Kya hua jo abhi suraj dhal raha hai
Kabhi iska bhi sunhara pal raha hai.

Tooti huyeen deewaren sabse yeh kahti hain
Kabhi yeh khandher bhi mahal raha hai.

Jin kathin rahoon par paon humne dhar diya
Rookh un rahon ka bahut saral raha hai.

Bebas halaat ko paimana matt banaiye
Dekhiye ki kaisa mera kal raha hai.

Sathi maine jab jab sudha ko paya hai
Uski har boond me chhupa garal raha hai.

Hathon se phad kar panna mere naam ka
Suna hai wo bahut haath apne mal raha hai.

Jaroorat Hai

Ek chingari hoon mujhe hawa ki jaroorat hai
Bhatak chuka hoon bahut disha ki jaroorat hai.

Ghupp andheri raat hai koi to mere saath ho
Humsafar ke waste diya ki jaroorat hai.

Haan bahut udaas hoon, toot bhi sakta hoon
Dua karo mujhe bahut dua ki jaroorat hai.

Meri galti par kabhi mafi mat diya karo
Saja ka haqdaar hoon saja ki jaroorat hai.

Charon ore khamoshi hai, tanhai ka saath hai
Thake ummeedon ko zara hauslaa ki jaroorat hai.

Sathi mere zakhmo ko chhedna mat bund karo
Chhalak padne ko ek katra ki jaroorat hai.

Faasle huye

Sochon me badlao ke silsiley hue
Jab se mere unke beech faasle hue.

Jin nigahon ki masti apni thi
Un nazron ke tewar dikhe badle hue.

Phir se sirhane mere kaante chubhne lage
Khwaab jitne the pani ke bulbule hue.

Nahin padega fark kisi ke jaane se
Anka to ye daawe sabit khokhle hue.

Choo kar dehko zara jalan gayee ki nahin
Ho gaye chand roz dil ko jale hue.

Jab se mere chand ne mujhse nata toda hai
Toot gaye khwab sabhi palkon pe pale hue.

Lams ki ahsas se naghme mahroom hue
Rang hamaari ghazlon ke ab saawlein hue.

Feesal jayegi

Subah ki har ada shaam tak dhal jayegi
Badhte chalo nahin to zindagi feesal jayegi.

Tum apni baare me rai hamari poochhte ho
Zor jo bahut daloge zuban feeisal jayegi.

Zindagi ki carvaan yun hi bas chalti rahe
Dhoop ki sakhti meethi chhaon mein badal jayegi.

Kah do dil ki baat chhupa kar mat rakho
Ladkhdayegi pehle zuban magar sambhal jayegi.

Yoon hi hamare pahloo me kaante tum bote raho
Hasratein tamam khud hi dil se nikal jayegi.

Khalee Gaya

Zakhmon ko kiya sajda, labon ko see gaya
Pyasa pyasa jigar andhera tamam pee gaya.

Ek toli baadal ki, chand ko loot gaya
Kal raat asman chhat se mere khalee gaya.

Zehar ki sakht jalan gale ko hai ret rahi
Tajjub hai bahut ab tak kaise jee gaya.

Umra bhar ke saath ka jis se wada tha
Tod kar har rishta sabse pahle wohi gaya.

Chhalak rahe the sabke chaahat ke pyale bahut
Aur hamare hisse ka jaam phir khalee gaya.

Kadve hote hai

Yah sach hai ki kuchh sach kadwe hote hain
Par usme bhi khushi ke boond chhupe hote hain.

Maana ki imaandaari cheez sasti ho gayee
Aaj bhi kuchh log usoolan pakke hote hain.

Noton ka bistar aur neend nahin mayyassar
Patthar todne wale neend se bhade hote hain.

Pattiyon ki baghawat khil khil utthi hai
Budhe budhe ped jab-jab gusse me hote hain.

Manzilon ke dhoon me kadam badhaye jaate hai
Aur hamare kadmo me raste hi raste hote hain.

Mujhse milne se jinko sakht inkaar hai
Hanske gale dushmanon se gale mil rahe hote hain.

Gham aur khushi ke vibhaajan me aksar
Khushi unki hoti hai gham mere hote hain.

Aam rahon pe chalna shaan ke khilaf hai
Dost meri rahon pe angaare rakkhe hote hain.

Zindagi

Wahi Chinta, wahi Fikra, Aur wahi, Bebas Zindagi
Ho Gayee Hai Jaise Jhoothi Khwab aur Hasrat zindagi

Chehre ParHansi aur dil Mein dard Ka Samandar Hai
Ek Joker Sa Role Mera aur Hai Sarkas Zindagi

Baawafa Hain Fitartan Saath Nibhaate aaye Hain
Aur Deti Aayee Hai Dhokha Aaj Tak Zindagi

Ek Yahi to saath hai Jis Par Saara aas Hai
Mujhe Bahut aziz Hai Mere HumNafas Zindagi

Jeena Hai to Jeena Hai, Chahna Kya Na Chahna Kya
Gham HO Ismein ya Khushi, Zindagi Hai bas Zindagi

Law Zindagi ka

Is se pehle ki madhim ho, low zindagi ka
Paana hai har haal me, carvaan roshni ka.

Chand dino ka hai safar, hans le ga le zara
Kya pata phir kab mile lamha ye khushi ka.

Lakh tumne logon ke dilo mein kaante boye hain
Kaayam ab bhi rishta hai aadmi aadmi ka.

Bhool gaye jo tum, shikwa ki yeh baat nahin
Bahut door chalta kahan hai saath hamdardi ka.

Samandar Nahin

Mana meri zindagi bahut behtar nahin
Marne ki dua karoon aisi bhi badtar nahin.

Chaadar ke ander hi paaon rakhta hoon sada
Ek dariya kafi hai chahiye samandar nahin.

Bhool jaao ke berukhi mujhpe asar daalegi
Ro kar gujarun zindagi itni mukhtasar nahin.

Gaon uski khushboo se abhi tak roshan hai
Kya hua dehliz pe thehra jo pal par nahin.

Suraj ne mere jism ko rulaya der tak
Par mere ashkon ke daagh mile ret par nahin.

Nayee manzil ki dhun me shauk se bhad chalo
Nakam rishto ka magar ilzam mujh par nahin.

Ja rahe ho shauk se jaao magar dhyan rahe
Door se achha lage wo shahar, shahar nahin.

Sathi maine jeevan ko ek chunauti mana hai
Aur is se haar jaaon main uo sikandar nahin.

Ashiyan Jalne ko hai

Mere khyalon so jaao, raat ab dhalne ko hai
Gool karo charaghon ko, suraj niklne ko hai.

Raat to kat hi jayegi, raat se adaawat kya
So jaao kal phir se taqdir chhalne ko hai.

Unke ghar ki roshni kam nahi hogi abhi
Khak hue armaan magar ashiyan jalne ko hai.

Biyaban ho, sahra ho dhoop ho ke baarish ho
Kaante ho ya phool bichhe raah tere chalne ko hai.

Thaamne wale haath, haathon se kab ke chhoot gaye
Ab bacha jo paas wo haath bus malne ko hai.

Namee Hi Namee Hai

Aisa nahi ki jahan me khushi ki kamee hai
Phir kyon uski aankhon mein namee hi namee hai.

Ek baar jo toot gaya gharonda sapnon ka
Baad uske meri hansi thamee ki thamee hai.

Der tak jalta raha par bhaaga nahin andhera
Chhoo kar dekha to jaana diya bahut zakhmee hai.

Sathi tere naghmo se kyon pighle zamana ye
Sabhi dard se hain bekal na ki ek tu hi hai.

Kuchal Rahe Hain

Khyaalon ke deep is tarah jal rahe hain
Har low pe jaise armaan machal rahe hain.

Andheron ke siwa kuchh bhi nahin apna
Lekin hum bhi kabhi safal rahe hain.

Jaanta hoon tyaag se hasil khuch bhi nahin
Tamaam hasraton ko phir bhi kuchal rahe hain.

Yeh fasla tai tha bahut laazmi tha
Ruk gaye wo kabke aur hum chal rahe hain.

Kuchh saza mere liye bhi yaaron mukrar karo
Zara zara sahi magar hum bhi badal rahe hain.

Tilmila kar

Kuchh taare bujh gaye, thoda jhilmila kar
Jab chand ne dekha, unko tilmila kar.

Matlabi duniya se, tu bhala kyon darti hai
Aa, sabke samne, khulke mujhse mila kar.

Rashmo ki riwazon ki sakhti koi na chale
Milne milane ka shuru, aisa silsila kar.

Dil sheeshe sa nazuk hai, chatak jayega
Milti rahi sabse gar aise khilkhilakar.

Akhir main kyon nahin har pal nashe me jhoomun
Roz peeta hoon dhoop me, chandni mila kar.

Aadat Hai

Aadmi ke jazbo ki yehi yehan par keemat hai
Chaahat ke haqdaaron ko bhi milti nafrat hai.

Unke jaane ke baad mujh par yeh gujree hai
Sulag rahi hai zindagi najuk mann aahat hai.

Husn ki tapis se ek din jal jaoge
Pehle hi daman bacha lo ye meri nasihat hai.

Mujhko chhodo jalne do, mat karo parwah meri
Aag par chalna hanste jaana meri aadat hai.

Karke yaad raat din ab talak jiya bahut
Marun bhi teri yaad me bas yahi ek hasrat hai.

Bhagwaan Nahin

Mere dil me bhi kyon pal sakte armaan nahin
Ek insaan hoon main bhi, main koi bhagwaan nahin.

Chand paane ki tamanna hum bhi kabhi rakhte the
Maana uske samne apni koi pehchaan nahin.

Doobta hoon shabdon me, dard chhalak na jaaye kahin
Lafzon se pare zakhmon ka koyee bayaan nahin.

Aaina badlne se chhupta nahin chehre ka daag
Ghaao bhar bhi jayen agar mit te hain nishaan nahin.

Aane jaane walon se bhare hue hain raah sabhi
Viraan pada hai dil mera raste hain sunsaan nahin.

Nameen Sa Paata Hoon

Zindagi me hamesha kuchh kamee sa paata hoon
Aadmi ki bheer me nahin aadmi sa paata hoon.

Dil ki sakht takid hai aansoo chhalke nahin
Jalti-tapti honthon par tishnagi sa paata hoon.

Un palkon ki namee tilism koyee kar gayee
Zeher bujhe alfaazon mein bhi bebasi sa paata hoon.

Un nigahon ka nasha jaane kab se kayam hai
Shakhs koi paas ho, aks unhi sa paata hoon.

Khile chehron ka haqiqat jabse jaana hai
Chehre pe apne becharagi sa paata hoon.

Pyala Roshni Ka

Chhalkao mat dost abhi pyala roshni ka
Neend mein hai chur abhi chand meri gali ka.

Mujhko mat awaaz do, laut nahin paaunga
Is gaon me mushkil hai basna aadmi ka.

Us masoom chehre pe hum kaise ilzaam sahe
Jafaon mein karte rahe talaash bebasi ka.

Kaise bhool jaoon use aap hi batao zara
Jeedhar nigahein jaati hain, aks hai usi ka.

Dene ko to bahut kuchh diya hai dene wale ne
Diya nahi usne magar jo maanga saath kisi ka.

Us se milne ki hasrat shayad hasrat hi rahe
Mera uska rishta hai kissa bebasi ka.

Shikaayat Nahin

Tujhse tere pyaar se koi shikaayat nahin
Thak chuke hain bahut ab koi hasrat nahin

Gham uthaana hanste jaana preet ki reet hai
In rashmon ko todun aisi koi chaahat nahin.

Tum bhi mujhko yaad karo aisi khwahish nahin
Prem ke badle prem dena, prem ke antargat nahin

Main agar bhula bhi doon dil kya bhula payega
Rishton me banaawat ki ise lagi aadat nahin.

Dil ki taraha rooh ke bhi tukde kar daalo
Bahut khel chuki is se, ab jaroorat nahin.

Shama Jalata Gaya

Kandhe pe rakhke sar dard-e-dil sunaata gaya
Maine use dilasa dee apne aansoon chhupata gaya.

Chithhiyon ko phaar daala, tasvirein jalaa deen
Teri har nishani ko is tarha mita ta gaya.

Ek ishq nakaam hai, ek ghamghin shaam hai
ek purani dastaan par aansoo bahata gaya.

Taariq hai raatein bahut, bhatak na jaye tu kahin
Ummeed ke her raaste per shama jalata gaya.

Teri yaad me aisi zindagi khapaata gaya
Peeta gaya zehar aur muskurata gaya.

Saathi tujhe bhulane ki koshisein nakaam rahin
Jitna bhulana chaaha tu yaad aata gaya.

Aaj Phir

Aaj phir us gali mein jaane ka mann hai
Aaj phir se chiththiyaan uthaane ka mann hai.

Aaj phir kitaab par likha hai ek naam
Aaj phir ek naam ko mitaane ka maan hai.

Aaj phir chhayee hai hontho par tishnagi
Aaj phir pyaas se mar jaane ka mann hai.

Aaj phir sang-sang chahta hoon baithna
Aaj phir ghanton tumhe rulaane ka mann hai.

Aaj phir socha hai chandni par gusse ka
Aaj phir chand ko chidhaane ka mann hai.

Aaj phir un naghmon ke saaye bahut haawee hain
Aaj phir har naghma gungunaane ka mann hai.

Aaj phir aankhon mein geet tere roshan hain
Aaj phir yaadon me bheeng jaane ka mann hai.

Janta hoon naam hamara yaad se teri ghaayab hai
Aaj phir khoob tujhe yaad aane ka mann hai.

Chandni

Mujhe eelm Nahin
Kis taraha Dhoondhun
Makhmali Yaadon Ko teri
aaine Mein chaand Ke.

Tum chandni Ho
Ya chandni Ki tarah ho Shaamil
Kudrat Ki Har Shai Mein.

Main aksar Dekhta Hoon tumhen
Lambi tanhan Raaton Mein
Sametna chaahta hoon Baaahon Mein
chhitak Jaati Ho Tum Magar.

Phir Sochta hoon
Samet saka hai Kaun
chandni Ko
daaman Mein apne.

Gussa

Waqt ki sarhad ke aage
Jahan woh rahta hai
Jo humein rachta hai
Jab wahan main jaaunga
Saamne sar taan ke
Kahoonga darp se

Us jahan se aaya hoon
Ek pal bhi tum
Rah nahi sakte jahan.

Ek Baat Batao

Waqt ki shah kyon maat bani?
Bigdi kyon her baat bani?
Vasla ke din jab aane the,
Hizra ki kyon yeh raat bani?

Ek baat batao mujhko tum,
Kya chain se raatein kat ti hain?
Kya raat tumhari khawabon mein
Koi rang abhi bhi bharti hai?

Kya ab bhi wo shokh hansi
Moti ki ladi jhalkati hain?
Kadmoon ki wo thapein ab bhi
Raag nayee ban jati hain?

Ek baat batao jaan meri,
Ek tumhari naam ki mala
Ek tumhare aks ka chandan
Rooh me thaame phirte the
Sunn pade hain kyon wo tann mann??

Ek baat batao rooh meri
Kyon nadi lahoo ki jalti hai?
Kyon chand ki narmi chubhti hai?

Kyon raat ki daayan haavi hai?
Kyon badan pe neze phaile hain?
Humpahloo jo rahte the
Kyon door wo itne baithe hain?

Kyon ye zindagi kaayam hai?
Saath nahi tum, paas nahi tum.
Kyon ye aankhen roshan hain?

Kal tha woh kya aaj hoon main?
Kyon bahut naraaz hoon main?

Aur zara yeh bhi samjha do
Khush ho to, tum khush kyon ho?
Khawahish thi tum theek raho
Lekin kaho tum theek kyon ho?

Mujhse bichhad ke khush rahte ho*
jhoote the... tum jhoote ho.

Mujhko samjha do pyaar mere
Jisko hum sajda karte the
Us jism ki aayat kuchh bhi nahin?
Ye ashk jo mere sukh chuke
Is ashk ki keemat kuchh bhi nahin?

Is ranj ke maane kuchh bhi nahin?
Us sang ke maane kuchh bhi nahin?
Humne jo aksar saath sahe
Us tanz ke maane kuchh bhi nahin?

Kyon hua ye kyon hua, mujhse poori baat kaho
Jeene ki ab wajah nahi, marne ki wajah to ho.

Chand dino ka intezaar,
chand kadmo ka fasila
Kyon nahi koi sah saka
Bas yehi batao mujhe
Yeh mujhe batao zara.


*Badra saheb ki meharbani

Hausla Aur Dhaadhas

Dekha hai ek sapna, pichhle pahar
Mujhe yaad kiya tumne raat bhar.

Dekha tumhe mayoos bahut, dekha tumhe udaas bahut
Tumko meri aahat nahin, jabki main tha paas bahut.

Sukh chuka aansoo ka katra
Ghutnon mein chhupa kar chehra.

Ghamon ke samandar mein, dooboye jaa rahi ho
Roye jaa rahi ho, roye jaa rahi ho.

Kya yahi haasil hai hamaare pyaar se
Ladne se pahle haar gaye sansaar se.

Tum to buland the bahut
Door talak chalna tha
Har baadha, har mushkil
Sahna tha, badhna tha.

Itni jaldi haar gayee halaaton se?
Abhi to shaam aayee nahin
Darr gayee tum raaton se?

Yehi raatein ab apni mukaddar hain
Ishq waale inse darte nahin
Apni kismat mein nahin sahar hai
Hum hasrat bhi karte nahin.

Tumne socha shayad main bhi, yaad mein teri rota hoon
Par pagli! tumhe kya pata, main to khoob sota hoon.

Chaahat mein de dena jaan, Humne bhi seekha hai
Hans kar hona kurban, Humne bhi seekha hai.

Lekin yunn dar-dar kar nahin
Jeete jee mar-mar kar nahi.

Waqt agar woh aayega
Main tumko dikha doonga
Apni sadiq mohabbat par
Zindagi loota dunga.

Paap nahin kiya humne
Ek raah naya apnaya hai
Humne nahin chhoda apnon ko
Unhone thukraya hai.

Unka gussa bhi jaayaj hai
Hum unke santaan hai
Chahatein unki humse hain
Hum unke armaan hain.

Maana hum bhi sachhe hain
Bhang nahin kiya maryada
Hamaari zindagi par lekin
Unka haqu hai ziyada.

Hum apni chaahatein
Unko batayengne
Karenge zid,
samjhayenge.

Unhohne hamari maango ko
Kya kabhi thukhraya hai
Bas isi yakeen par
Vishwas mujhe yeh aaya hai.

Woh hamari chaahat par
Apni muhar lagaayenge
Humko tumse milayenge
Tumko humse milayenge.

Pahle hi maan lena haar
Yeh to achhi baat nahi
Chupke rona zar zar
Yeh to achhi baat nahi.

Jaan meri karo yakeen aaj tum meri baaton pe
Aansoo nahin taaqat hai, bahti hai jo aankhon se.

Duniya ke taanon se pahle, Ansoo bahana chhod do
Apni udasiyon ko, Hansi ki taraf mode do.

Nahin to ladne ki hamaari, himmat toot jayegi
Aur dekhna yeh duniya, humse jeet jayegi
Aur dekhna yeh duniya, humse jeet jayegi.

Ek Din

Yaadon ke andhe kooyein me
Ek dhela tumne phenk diya.

Jaa fansaa woh daldal mein
Cheekh nikal gayee paani ki.

Beqaraari

Nas-nas mein machal rahe
Lahoo ke katre
Dhoondhte hain tumhe
Aao mere humsafar.

Seenein mein hoti hulchal
Baantni hai tumse
Lagaa kar gale
Gale lag kar.

Narm palkon ki chubhan
Aur adhron ki tapan
Kuchh halka karein
Baahon mein dub kar.

Tanhai se sanasaai ka
Kasak saari judaai ka
Aaj khatm karein
Rakh ke sar seenein per.

Aao mere humsafar.

Teesra

Haan ek sach hai
Nahin, doosra
Ek teesra sach,
Shabdon ki na-na
Aankhon ki haan-haan.

Aana, ek sach hai
Nahin aana, doosra
Ek teesra sach,
Kuchh khone, kuchh paane jaisa
Aakar bhi naa aane jaisa.

Main ek sach hoon
Tum doosra
Ek teesra sach,
...?

Phynix

Aksar
In sannato ke
oonche aasman mein
Khula chhoda hai khud ko.

Chatakti haddiyan
Bikhra wajood
Anant zakhmon ke bawzood
Toda-foda hai khud ko.

Her roz marta hoon
Aks bigad jaata hai
Har baar phir se mujhme
Naya aks ubhar jaata hai.

Samjhauta

Kyon ho mayoos? chehre pe udaasi hai chhayee huyee
Nazren sahmi-sahmi hai, awaaz hai bharrayee huyee.

Kya dekh liya aisa, kyon itni pareshaan ho?
Kis baat pe aakhir, hairan pareshaan ho?

Taane phir soone hain, tumne shayad apnon se
Phir dekha khwab wohi faasle ka sapno mein.

Lekin nahin! teri nazrein kuchh aur bayan karti hain
Dabdabayee kaatar aankhein, paigham-e-hizrna kahti hai.

logon ne maana keh diya
Kya sachmuch hona hai juda?

Ye to batao zara, kyon sahmi-sahmi ho?
Faisla sweekar kar, kyon itni ghamgeen ho?
Unka her faisla maan na hi tha tumko
Haan kahen yaa naa kahen haarna hi tha humko.

Pyar kiya tha humne umra ka sauda nahin?
Humne koshish ki bahut, tumne bhi kam kiya nahin!

Safal nahin huye to kya?
Bani rahegi woh koshish
Jeene ki shakti sada.

Ab main sirf main hoon aur tum, tum ho
Jao jaati ho jahan. khush raho, khush raho.

Pyaar hamara jism nahin, woh rooh ke under hai
Chhoo lena palkein apni aa jaye gar yaad meri
Choom lena tum maatha uska jo tera mukaddar hai.

Continued...
Theek hai ki tum saath nahi, woh iraade saath hain
Tere vaadon ki baat nahin, mere vaade to saath hain.

Raat

So jao meethi neend mein, tere sone ki raat hai
Mujhko chhodo meri raatein, sheron ki shuruat hai.

Meri raatein sadko pe chalte-chalte kat ti hain
Meri raatein andhiyaron se baaten karte kat ti hain.

Tum to kaale saaye ki chaadar se darr jaate ho
Saanjh ke dhalte hi aatank se sihar jaate ho.

Sannaton ke saath tum kahan tak ja paoge
Apne hi jism ke larajne se darr jaaoge.

Raat ke husn ko tumne aanka hai kabhi
Rumani andheron ke pare jhanka hai kabhi.

Raat ke bikhre roop ko anjooli mein sameto
Andheron me nange paon sadko pe chalke dekho.

Kudrat ki nazaron ki hoti barsaat hai
Chand taaron ki angan mein neet nayee baraat hai.

Mujhko chhodo meri raatein, sheron ki shuruat hai
So jao meethi neend mein, tere sone ki raat hai.

Tum Aur Main

Tum ek swapn ho
Paana jise sambhav nahin
Tootna jiski niyati hai.

Tum chandrama ho
Dekhna sambhav hai,
Saraaha bhi jaa sakta hai
Sambhav nahi ... sametna bahoon mein
Tum gulaab ho
Khile paro par tazgi, liye saanson mein zindagi
Rahasyamayee saundaryamayee ho tum jaise koi pari.

Haan sachmuch tumhare baad
Pana sesh bachega kya?
Phir bhi mera aana tum tak
Mumkin nahin dikhta
Tum shreshth ho, sukshma bhi
Main sthoolkai, nimnn bhi.

Tum rachna teen tatvon ki
Main panchtatvon ka mishran
Apna lo tum bhi priyatam
Adhyatma mein jo bhoomi-jal hai
Prem mein hai tyaag-samarpan.

Aamantran

Yeh maana mumkin nahin milna aur baatein karna
Lekin kya sahi hai badal lena raasta?

Sochogi, kyon miloon?
Mera uska rishta kya hai?

Suno hamara rishta hai
Shoonya ke sarovar mein
Kanwal, Kanwal ke patton ka.

Lakshya hamaare ek hain
Soch hamaare ek hain,
Kyon na karen hum nirman
Ek doosre ka aasmaan.

Shoonya se aage ka safar
Shuru karo ab humsafar
Main akela shoonya sahi
Tum milo to badhe asar.

Aa bhi jao priyatam
Sunya ka yeh saath hamara
Bane taumra ka bandhan.

Pratham Sparsh

Aaj huyee anubhooti
Sparsh ke sukh ka
Samarpan ke romanch ka
Jab tumne sakuchate huye
Rakh diya haath apna
Haathon par mere.

Sach,
Kitna madhur tha wo pal!
Jab tumne sarvaswa,
Kar liya samahit mujhme
Kalpana hi mein sahi.

Bharosa

Iske baawzood,
Ki mera vishwaas tha
Tum nahin aaoge
Maine intezaar kiya;
Ki,
Shayad galat ho
Mera yeh vishwaas!

Tum nahi aaye.
Ek baar aur hua pramanit
Prem,
Manav mann ko
Rakhne ka atript,
Hai takneek ek utkrisht.

Jaanti ho

Jaanti ho,
Aaj kal kafi vyast rahne laga hoon
Itna kaam karta hoon ki adhikansh adhoora
Itna likhta hoon ki adhikansh aspasht
Tab tak likhta hoon ke jab tak saath deti hain
Tumhen dekhne ki hasrat mein jaagi huyee aankhen

Jaanti ho,
yeh saari kawaayad kyon aakhir?
Bas isliye ki tumhari yaad na aaye
Aankhen aansuon se tar na ho
Aur mein pagalon ki tarah,
Todne-phodne na lagoon har vastu.

Jaanti ho,
Aisi chhano mein mujhko baar-baar
Yeh ahsaas hota hai
Ki
Wakai
Kitna
Swarthi
Hoon mein?

Jo thodi nuksaan se darr kar,
Yaad nahi karta tumhe.

Yeh sab,
Tum jaanti ho na!

Goodnight

Main nahin kahta,
Ki mujhe pyaar ho gaya,
Aur yeh bhi nahi
Ki chaahne lagi hai wo mujhe.

Uska chalna saath mere
Ho sakti hai majboori
Raaste ke sankrepan ki.

Safar ke akelepan mein
Bhaye mishrit apnepan mein
Chhahat ko talasna
Hai bus diwa kalpana.

Shahar anjana ho ki pehchana
Stri ke liye hai jaroori
Khud ko bachana

Uski maun aankhoon ne
Ghumkar jab goodnight kaha
Dimag ke saare tarkon ko
Dil ne kaha alwida.

Chaahe unchahe mann mein kai
Chaahat ubhar gaye
Khwahishon ko jaise
Par lag gaye.

Aa Jao

Aao mere paas tere saath ki jaroorat hai,
Toot chuke aas sabhi aas ki jaroorat hai.

Tere siwa kaun hai jis se
Mann ki baatein kah sakoon,
Duniya bhar ke dukhon ko,
Kaise akela sah sakoon,

Thaam le girne par us haath ki jaroorat hai,
Toot chuke aas sabhi aas ki jaroorat hai.

Bahut door jaana hai,
Bahut lamba safar hai,
Thake thake hain kadam
Kanto bhari dagar hai,

Aise mein de tazgee us jazbaat ki zaroorat hai,
Tham le girne per us haath ki zaroorat hai.

Chhitput - Mixed Masala

Hum fitratan beadab, hum bahut dushwar hain
Myan mein rakh lo miyan, jiski ye talwaar hai
Humne zara pyaar se ata farmayeen galiyaan
Aur wo kahte hai ke ye sher wazandar hai.

--------------------------------------------
Aise more per laya hai, preet ka mausam mujhe
Nazar aane lage sabhi, dost bhi dushman mujhe.

--------------------------------------------
khud mein kamee koi badi paata hoon
Jab kabhi main khulke muskurata hoon.

--------------------------------------------
Maine ghamon ko bade jatan se pala hai
Tabhi to unka roop nikhar aaya hai.

--------------------------------------------
Aaj kal kafi vyasat rehne laga hoon
Unko bhool kar swasth rehne laga hoon.

--------------------------------------------
Nahin chahiye is duniya se dard ka samaan mujhe
Apni maut ka khud hi, karna hai intezam mujhe
Soch samajh kar maine kaanto per chalna tai kiya
Tum kya dikhlaoge mere pairon ka anjaam mujhe.


--------------------------------------------
Jab jab tumne thukraya, deewaron se baatein ki
Aaj magar usne bhi khuch, kahne se inkaar kiya.

--------------------------------------------
Her nigaah ja tikti hai unki nigaah per
Jaisi musafir ki nazrein tikti hain raah per.

03 February, 2007

Aur Zindagi Thahar Gayee

Tum chale, hum chale
Sang chala, sara jahan
Chali kashti, badhe karwan
Chali zameen, chala aasmaan.

Mujhme bhi thi, tum me bhi thi,
Jeene ki lagan, sanson ki tapan
Maine saha, tumne bhi saha,
Talkh alam, apno ke sitam.

Kuchh tum badhi, kuchh main badha,
Chale nayee jahan ki ore
Humne chahee, humne payee
Nayee kirne, nayee bhor.

Kuch aashaayen, kuchh umangen
Saath liye hum chal pade
Nayee dagar par uchhal-uchhal
Haath thaam kar nikal pade.

Nayee safar par saath liye
Kuch sapne, kuch vaade
Aur tha agar koi hamsafar
The kuch hausle, aur irade.

Gujarti gayee, pahar do pahar
Chhoot te gaye sabhi rahguzar
Hum chalte rahe, hum badhte rahe
Tai karte rahe jeevan ka safar.

Meri thi koshish
Badalne ki duniya
Tumhari thi khwahish
Basane ki duniya.

Duniya to na badli
Hum badal gaye
Basi bhi na duniya
Armaan jal gaye.

Bani ek sapna, bani kalpana
Tumhari wo baatein, hamara wo saath
Hue hum juda, main akela hua
Zakhmi ahsas, ghayal zazbaat.

Khatm safar, chhuti rahgujar,
Main aur tum rahe na ham
Badli rahen, chhoote kafile,
Ghayal kadam gaye thum.

Tum thi kabhi, magar ab to hai
Tanhai ka saath, judai ki raatein
Shamo sahar, aati hai nazar
Wo masoom chehra, wo gambhir baatein.

Samet kar khusiyon ka sagar
Jeena tha humko, marna tha humko
Chale bahut door sang-sang zaroor
Magar kuchh aur chalna tha humko.

Samay ki dhaar
Tez raftaar
Hamari nasamjhi
Hamare takraar.

Chhoti si baat
Duniya badal gayee
Chhoti si thes
Khusiyan bikhar gayee.

Ek chhoti si bhool
Aur saanse ukhar gayee
Ek chhoti si chook
Aur zindagi tahar gayee.