Waqt ki shah kyon maat bani?
Bigdi kyon her baat bani?
Vasla ke din jab aane the,
Hizra ki kyon yeh raat bani?
Ek baat batao mujhko tum,
Kya chain se raatein kat ti hain?
Kya raat tumhari khawabon mein
Koi rang abhi bhi bharti hai?
Kya ab bhi wo shokh hansi
Moti ki ladi jhalkati hain?
Kadmoon ki wo thapein ab bhi
Raag nayee ban jati hain?
Ek baat batao jaan meri,
Ek tumhari naam ki mala
Ek tumhare aks ka chandan
Rooh me thaame phirte the
Sunn pade hain kyon wo tann mann??
Ek baat batao rooh meri
Kyon nadi lahoo ki jalti hai?
Kyon chand ki narmi chubhti hai?
Kyon raat ki daayan haavi hai?
Kyon badan pe neze phaile hain?
Humpahloo jo rahte the
Kyon door wo itne baithe hain?
Kyon ye zindagi kaayam hai?
Saath nahi tum, paas nahi tum.
Kyon ye aankhen roshan hain?
Kal tha woh kya aaj hoon main?
Kyon bahut naraaz hoon main?
Aur zara yeh bhi samjha do
Khush ho to, tum khush kyon ho?
Khawahish thi tum theek raho
Lekin kaho tum theek kyon ho?
Mujhse bichhad ke khush rahte ho*
jhoote the... tum jhoote ho.
Mujhko samjha do pyaar mere
Jisko hum sajda karte the
Us jism ki aayat kuchh bhi nahin?
Ye ashk jo mere sukh chuke
Is ashk ki keemat kuchh bhi nahin?
Is ranj ke maane kuchh bhi nahin?
Us sang ke maane kuchh bhi nahin?
Humne jo aksar saath sahe
Us tanz ke maane kuchh bhi nahin?
Kyon hua ye kyon hua, mujhse poori baat kaho
Jeene ki ab wajah nahi, marne ki wajah to ho.
Chand dino ka intezaar,
chand kadmo ka fasila
Kyon nahi koi sah saka
Bas yehi batao mujhe
Yeh mujhe batao zara.
*Badra saheb ki meharbani
04 February, 2007
Ek Baat Batao
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment