Tum chale, hum chale
Sang chala, sara jahan
Chali kashti, badhe karwan
Chali zameen, chala aasmaan.
Mujhme bhi thi, tum me bhi thi,
Jeene ki lagan, sanson ki tapan
Maine saha, tumne bhi saha,
Talkh alam, apno ke sitam.
Kuchh tum badhi, kuchh main badha,
Chale nayee jahan ki ore
Humne chahee, humne payee
Nayee kirne, nayee bhor.
Kuch aashaayen, kuchh umangen
Saath liye hum chal pade
Nayee dagar par uchhal-uchhal
Haath thaam kar nikal pade.
Nayee safar par saath liye
Kuch sapne, kuch vaade
Aur tha agar koi hamsafar
The kuch hausle, aur irade.
Gujarti gayee, pahar do pahar
Chhoot te gaye sabhi rahguzar
Hum chalte rahe, hum badhte rahe
Tai karte rahe jeevan ka safar.
Meri thi koshish
Badalne ki duniya
Tumhari thi khwahish
Basane ki duniya.
Duniya to na badli
Hum badal gaye
Basi bhi na duniya
Armaan jal gaye.
Bani ek sapna, bani kalpana
Tumhari wo baatein, hamara wo saath
Hue hum juda, main akela hua
Zakhmi ahsas, ghayal zazbaat.
Khatm safar, chhuti rahgujar,
Main aur tum rahe na ham
Badli rahen, chhoote kafile,
Ghayal kadam gaye thum.
Tum thi kabhi, magar ab to hai
Tanhai ka saath, judai ki raatein
Shamo sahar, aati hai nazar
Wo masoom chehra, wo gambhir baatein.
Samet kar khusiyon ka sagar
Jeena tha humko, marna tha humko
Chale bahut door sang-sang zaroor
Magar kuchh aur chalna tha humko.
Samay ki dhaar
Tez raftaar
Hamari nasamjhi
Hamare takraar.
Chhoti si baat
Duniya badal gayee
Chhoti si thes
Khusiyan bikhar gayee.
Ek chhoti si bhool
Aur saanse ukhar gayee
Ek chhoti si chook
Aur zindagi tahar gayee.
03 February, 2007
Aur Zindagi Thahar Gayee
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
nice one....
Post a Comment