Mana meri zindagi bahut behtar nahin
Marne ki dua karoon aisi bhi badtar nahin.
Chaadar ke ander hi paaon rakhta hoon sada
Ek dariya kafi hai chahiye samandar nahin.
Bhool jaao ke berukhi mujhpe asar daalegi
Ro kar gujarun zindagi itni mukhtasar nahin.
Gaon uski khushboo se abhi tak roshan hai
Kya hua dehliz pe thehra jo pal par nahin.
Suraj ne mere jism ko rulaya der tak
Par mere ashkon ke daagh mile ret par nahin.
Nayee manzil ki dhun me shauk se bhad chalo
Nakam rishto ka magar ilzam mujh par nahin.
Ja rahe ho shauk se jaao magar dhyan rahe
Door se achha lage wo shahar, shahar nahin.
Sathi maine jeevan ko ek chunauti mana hai
Aur is se haar jaaon main uo sikandar nahin.
04 February, 2007
Samandar Nahin
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment