04 February, 2007

Hausla Aur Dhaadhas

Dekha hai ek sapna, pichhle pahar
Mujhe yaad kiya tumne raat bhar.

Dekha tumhe mayoos bahut, dekha tumhe udaas bahut
Tumko meri aahat nahin, jabki main tha paas bahut.

Sukh chuka aansoo ka katra
Ghutnon mein chhupa kar chehra.

Ghamon ke samandar mein, dooboye jaa rahi ho
Roye jaa rahi ho, roye jaa rahi ho.

Kya yahi haasil hai hamaare pyaar se
Ladne se pahle haar gaye sansaar se.

Tum to buland the bahut
Door talak chalna tha
Har baadha, har mushkil
Sahna tha, badhna tha.

Itni jaldi haar gayee halaaton se?
Abhi to shaam aayee nahin
Darr gayee tum raaton se?

Yehi raatein ab apni mukaddar hain
Ishq waale inse darte nahin
Apni kismat mein nahin sahar hai
Hum hasrat bhi karte nahin.

Tumne socha shayad main bhi, yaad mein teri rota hoon
Par pagli! tumhe kya pata, main to khoob sota hoon.

Chaahat mein de dena jaan, Humne bhi seekha hai
Hans kar hona kurban, Humne bhi seekha hai.

Lekin yunn dar-dar kar nahin
Jeete jee mar-mar kar nahi.

Waqt agar woh aayega
Main tumko dikha doonga
Apni sadiq mohabbat par
Zindagi loota dunga.

Paap nahin kiya humne
Ek raah naya apnaya hai
Humne nahin chhoda apnon ko
Unhone thukraya hai.

Unka gussa bhi jaayaj hai
Hum unke santaan hai
Chahatein unki humse hain
Hum unke armaan hain.

Maana hum bhi sachhe hain
Bhang nahin kiya maryada
Hamaari zindagi par lekin
Unka haqu hai ziyada.

Hum apni chaahatein
Unko batayengne
Karenge zid,
samjhayenge.

Unhohne hamari maango ko
Kya kabhi thukhraya hai
Bas isi yakeen par
Vishwas mujhe yeh aaya hai.

Woh hamari chaahat par
Apni muhar lagaayenge
Humko tumse milayenge
Tumko humse milayenge.

Pahle hi maan lena haar
Yeh to achhi baat nahi
Chupke rona zar zar
Yeh to achhi baat nahi.

Jaan meri karo yakeen aaj tum meri baaton pe
Aansoo nahin taaqat hai, bahti hai jo aankhon se.

Duniya ke taanon se pahle, Ansoo bahana chhod do
Apni udasiyon ko, Hansi ki taraf mode do.

Nahin to ladne ki hamaari, himmat toot jayegi
Aur dekhna yeh duniya, humse jeet jayegi
Aur dekhna yeh duniya, humse jeet jayegi.

No comments: