Mayoos Intezaar
In bojhil sannaton mein, hoti ho jab saamne tum
Sochta hoon bhaag jaun door, vaadi-e-zindagi se
Aisa nahin ke khushi nahin, kareeb tere hone ka
Jaanta hoon ke sapne hain, yeh lamhe bekhudi ke
Phir bhi is tanhaai mein, Jab hota hoon naashaad sa
Parchhaain hi sahi par hoti ho tum paas jab
chaahta hoon ke rah jaaun jaagta umra bhar yun hi
yun hi karoon deedar tera yun hi kate tadap kar shab
Jis roop ko paakar hua tha khud se bekhabar
Usi roop mein tujhko paaya hai aksar raaton mein
Aangan mein kabhi chhat pe, god mein sar ko rakhe
Honth saheje palkon pe, chehra thaamein haathon mein
Bahut door ho shaayad tera aana mumkin nahin
Teri khanakti aawaazen door nahin huyeen ab tak
Chhoo jaati hai ab bhi saanson ke garmee teri
Jism door magar saansein door nahin huyeen ab tak
Roz yun hi raaton mein takta hoon maatha chaand ka
Sochta hoon bhoole se hi shaayad aa jao kabhi
Chali gayee hai sang tere neend bhi meri rooth ke
Kabhie na jaagoon is taraha mujhe sula jaao kabhi.
Page : 07
Book Title : Aur Zindagi Thahar Gayee
Poet : Me :)
Publisher : Loktantra Prakashan
28 January, 2007
Mayoos Intezaar
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment